Jaane kya hai portfolio aur kya hai iske fayde

2 comments

Portfolio kya hai aur aap isse kaise fayda utha sakte hai




Hello friends,  Aap ye to jaan gaye honge  ki Freelancing kya hai aur ise kaise implement karte hai par kya aapko lagta hai freelancing ke lie sirf itna kaam kaafi hai mere hisaab se to shayad nahi. Hum sab jaante hai ki bina kisi experience ke job pana kaafi tough hai aur ye bhi sach hai ki bina job mile experience bhi mushkil hai par sach maane to aap is chakravyuh ko asaani se tod sakte hai. Jaanie kya hai Porfolio? aur iska kya use hai?


Freelancing me Portfolio ka kya matlab hai?


Portfolio ka matlab hai wo work jo ki aap past me kar chuke hai ise is tarah se samjhe ki agar aap ek graphic designer ki tarah freelancing site par work karna chahte hai to aapko apne portfolio me apne past project ke work samples ko add karna padega jaise ki koi logo ya fir koi koi banner jo ki aapne design kia ho.

Online Portfolio ek mazboot kadi hai jaise ki aapka hunar(skill) jo ki aapko success ki or le jata hai agar dekha jae to aapki skills aur aapka portfolio dono hi ek hi sikke ke do pehlu hai. Jaane kyu hai ye itna jaruri?


Aakhir kyu Clients aapka "Portfolio"dekhna chahte hai?



Ek portfolio aapke business ke lie naye client ke avsar laa sakta hai . Portfolio ek tarah se aapke work ka showcase hai agar aapka portfolio attractive hai to client ka aapke paas apki service ke lie anaa jaayaz hai.


Portfolio dekh ke client aapki kaabliyat ko naap leta hai wo jaan jata hai ki jaisa ki wo kaam chahte hai kya aapke paas uska experience hai, kya aap unke kaam ko bakhubi kar paenge aur kya aap vishvasniya hai us project ko poora karne ke lie.


To saaf taur par ye kaha ja sakta hai ki agar aapke pas ek acha portfolio hai apne clients ke saamne show karne ke lie to ye kaafi had tak mumkin hai ki koi client aapki services ke lie koi acha deal tay kare. 

Portfolio me kya kare or kya na kare?


Maine dekha hai ki jaadatar portfolios me simply website ki ek list hoti hai. Jaadatar freelancers website ki screenshot lekar use list me laga dete hai par ye ekdum hi negative impression daalega kisi par bhi.  

Yaha dikkat hai to bus content ki.

  • Aapne is project par kyu work kia?
  • Isme aisa kya hai jisse kisi ne aapko iske hazaro dollors dia?
  • Isme kon kon si dikkate ayi jinhe aapne bakhubi solve kia?
  • Ye project complete hone ke baad client ke business me kaise kaise balaav aye?
Har client chahta hai ki agar wo aapko upar paise kharch kare to uske badle me use investment bhi mile.  Ye ek first target hota hai ek client ka.

Mera aapse anurodh hai ki agar aapke paas koi bhi work nai hai portfolio ke lie to please aap kisi aur ka work copy karke portfolio na bane ye jhuth aapka jada der nai thehar paega.


Apne Portfolio me creative aur attractive projects lagane ki hi koshish kare yahi aapko aage le jaenge.



Kaise ek professional portfolio banae?

Ek online Portfolio ko create karna koi bhi badi baat nai hai aap asaani se ise create kar sakte agar aapko iske basics pata hai to aur agar aap iske buniyaadi jarurato ko miss nai karte hai to. Aap apna Portfolio kisi editor par bana sakte hai. 

To yaha par kuch points hai clients aapke portfolio me jarur dekhna chahenge:

  • Aapka Creative work:    Ye aapko portfolio banate waqt hi sunashchit kar lena hoga ki aapka sabse attractive work sabse top par list ho aise hi descending order me aap list kare fir chahe wo work aap ne kabhi bhi complete kia ho ya fir uske baad bhi aapne kuch work complete kia hua ho qki ye to hum sab jaante hai ki "First impression is last impression".      Aap apne work ke saath ye details bhi attach jarur kare   - Project Screenshot, Project URL, Project starting date, Project completion date aur skills jo ki project ko banane me use hui ho.
  • Aapka Introduction: Ye field bahut jada attention ke kaabil hai qki har client us insaan ke baare me jaanna chahega jise wo apna project karne ke lie dene ja rahe hai. To bina koi lambi chaudi kahani sunae bina aur bina portfolio ki quality kharaab kie aapko apne background, qualification, work experience ke baare me batana hai.
  • Contact details: Ye bhi jaruri hai kyu ki agar client ko aapka portfolio pasand aya to wo aapse jarur  contact karna chahega. Aap gmail id ya skype id de sakte hai.



Agar Portfolio nai ho to kya kare?

Ha ye common hai ki aapne abhi hi apna career start kia ho aur aapke paas acha Portfolio na ho Dont worry/!! har ek expert kabhi na kabhi fresher hota hai aap agar chahe to aapne jo work training lete waqt kia tha use attach kar sakte hai ya fir aap ko mai thodi inspiration deti hu jara in students ki sites par gaur farmaiye kaisa hai ye idea naya bhi aur khoobsurat bhi:



                                                                       Magali Dubourdieu


Kaise portfolio banae seekhe: try hindi

       


Kaise portfolio banae seekhe: Try Hindi



Kaise portfolio banae seekhe: Try Hindi








Aap bhi kuch naya soche ho sakta hai wo idea aapko freelancing ke shikhar par pahucha de.



" Bheed hamesha us raaste par chalti hai jo raasta asaan lagta hai magar iska matlab yeh nai ki bheed hamesha sahi raaste par chalti hai. Apne raaste khud chunie kyuki aapko aapse behtar koi nai jaanta. "
Related: Freelancing Site "Upwork" Par Kaise Profile Maintain Kare




Next PostNewer Post Previous PostOlder Post Home

2 comments:

  1. Hi bro thanks for this great article i really like this post and i love your blog you;---------------> Zong free internet 2019 new trick 10000% Working <---------------

    ----jazz free internet 2019----


    ---Ufone free internet new code 2019--
    <-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
    --Earn money easy daily 20$

    --------------------------------------------------------------------------------------
    get free recharge on all sims
    --------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
    --Earn free 100$ WITHOUT INVESTMENT click here

    ------------------------------------------------------------------------------------------------------
    How to Protect your articls on blogger

    --------------------------------------------------------------------------------------------------------
    Free TV on all sims 2019 100%working new method

    =============================================================================================================
    Free do follow backlinks 110+ genrate YOUR WEBSITE

    =============================================================================================================
    Top 15BEST Google Adsense Alternatives

    ===============================================================
    BEST TRICK INCRESS GOOGLE ADSENSE
    -----------------------------------------------------------------------------------------
    Top 15 Highest Paying Affiliate Programs Plaforms List
    ----------------
    FREE WEBHOSTING LIFE TIME BEST HOSTING NO AD UNLIMITED FREE

    ReplyDelete
  2. intraday live free tips site click here and get daily free tips https://www.lifetime-help.com/

    ReplyDelete

script src='http://code.jquery.com/jquery-latest.js'/>