Holi Aayi Re Kanhai Holi Aayi Re…..

1 comment
Gulal, Pichkari, gujiya aur thandayi yeh saari cheeze agar ek saath milaayi jaaye to banti hai ek shaandaar Holi, ek aisa tyohaar jo ki dilon ko milata hai, duriya ghataata hai, apno ko aur aur aur kareeb lata hai.

Holi special

Sach maane toh pyar ke rango se bhari hui pichkari na umar dekhti hai na mazhab bas ise toh zid hai apna rang bikharne ki aur kuch rang toh itne gaadhe ghole jaate hai ki woh yaadein ban kar amar ho jaate hai.


Ullas aur umang se bhara hua phalgun ke mahine ka ye din bahut hi khaas hota hai.Barsana  mein jaha radha ji kuwar kanhiya ke saath lathmar holi khelti hui nazar aati hai, wahi dusri or natkhat bal gopal ke peeche sari gopiya unhe rang lagane ke liye daudti hui dikhti hai. Poore asmaan gulaal, phool, abeer, kumkum aur kesar ki wajah se laal ho jata hai.


Holi special post



Bachpan ki holi sab hi ki anmol hoti hai. Woh hi din the apne jab dost subah-subah topi laga kar toli mein aate the aur tabhi maa ki awaaz ka ana ki tel laga ke hi bahar jana warna rang nahi niklega asani se. Bahar jaate hi wahi dosto ka purana gana ki “Bura na mano Holi hai” aur fir pakad kar rang aur pichkari se pani ki bauchaar ka humla. Kuch hi pal mein sir se paaon tak poora rangeen ho jana. Woh bachpan ki holi ab laute bhi toh kaise kyuki na toh ab woh yaar rahe na ab woh tyohaar rahe.

Holi special Post


Par kya pata phir se woh hi taqdeer mil jaaye, phir se anmol yaar mil jaaye aur bachpan ki shararate dohrane ka man kare. Aur tyohaar toh sach maana jaye isi liye hote hai taaki hum ranj-o-gum ko bhula kar aur har sharam ko chodh kar ke wahi Bachpan wali masti me doob jaaye. Aap mehsoos karenge ki  aapki har dikkat har pareshani fir woh chahe jitni bhi badi kyu na ho par aapki khilkhilati hui muskurahat ke aage aapko woh choti si lagne lagegi.


Toh yeh jaan lijiye ki na toh jeevan kala hai nahi jeevan safed hai. Jeevan hai to bas rangeen aur is rangeen jeevan ko aap hi ek hai jo aur rangeen bana sakte hai. Toh jeevan ka feekapan gayab karne ke liye ek bachche ka dil seene me lana padega. kyuki aaj ke samay me yahi sach hai ki Jo Baccha Hai Wahi Bacha Hai.




Toh Holi paas hai apne naye bachpan ki shuruaat isi holi se kare, kuch nayi yaadien is holi se bhi batore aur unhe apni gulakko me jama kar le. Chaliye phir kar lete hai Holi ki poori taiyari, yaad rahe koi bhi dil ki umang adhoori na rah jaaye. Aur saath hi saath apni khushiyo ko aur jaruratmand logo ke saath bhi baatein.

Aaj kyunki Holika Dahan hai toh mai bas yahi kahungi ki Aaj ki Holi mein aap sabhi ke saare dukh dard jal jaaye aur kal ki rangpanchami ke saare rang aapke jeevan mein ghul mil jaaye. Happy Holi :) :)




“I’m pledging to #KhulKeKheloHoli this year by sharing my Holi memories atBlogAdda in association with Parachute Advansed.”

Next PostNewer Post Previous PostOlder Post Home

1 comment:

  1. But several other experts, when approached by The News, expressed their inability to answer as to why the pandemic was slowing down in Pakistan, saying no concrete scientific evidence of the role of innate, non-specific immunity, humidity or the weather was available yet.
    https://www.logicalbaat.com/
    https://www.logicalbaat.com/
    https://www.logicalbaat.com/


    https://www.logicalbaat.com/
    https://www.logicalbaat.com/
    https://www.logicalbaat.com/

    ReplyDelete

script src='http://code.jquery.com/jquery-latest.js'/>