Hello dosto, Maine apne previous post me aapko top 5 best freelancing sites ke naam aur unka short introduction dia tha aur ab is post me mai aapko famous online portal Upwork par kaise account bnaya jae ye btana chahti hu.
Mai har step ko alag alag aur photos ki madad se samjha rahi. Ha, mana ki ye post thoda lamba hai par ye process tough bilkul bhi nai hai aur ap asaani se seekh jaenge. Chalie jante hai ki kaise Upwork pe free account bana ke paise kamaye jae.
Step 1:
Sabse pehle www.upwork.com par jae. Ab is page pr upper left side par SIGN UP option hoga is option par click kare.
.
Step 2:
Sign up par cick karte hi aap dusre page par pahuch jaenge.
Is page par aapse Upwork pooch raha hai hai ki aap kis type ke user hai yani aap freelancers ki khoj me site par ae hai aur aapko freelancers se kch kaam karwane hai ya fir aap khud ek freelancer hai aur online work karne ke lie is par signup kar rhe hai.
Agar apko freelancer ki tarah work karna hai to aap work pe click kare.
- Note: Kyuki mai aapko freelancer ki tarah work karna sikha rahi is lie mai work par click kar rahi aur usi ko aage continue bhi kar rahi. Agar apko freelancers ko kaise hire kia jata hai ye bhi jaanna hai to comment pe mjhe bta dijie.
Step 3:
Ab aapke ke saamne ek registeration form hoga jise aapko apni details fill karni hongi.
- Apna naam.
- Email Id
- Country
- Username
- Password
- captcha
in saari details bharne ke baad neeche diye dono checkboxes par click kare aur Get Started par click karke aage badhe.
Step 4:
Ab aapne jo email id is form me daali hai us email id par login kijiye. Ab aap apne mail id par dekhenge ki ek Upwork Notification naam se mail aya hai.
Ye message email Id verify karwane ke liye hai is mail ko open karein aur diye hue link par click karke apne Upwork account ko verified karwae.
Is process ke baad aapka account verified ho jaega aur ab aap Upwork par login kar sakte hai
Login karne ke baad aapko ye pehla page dikhai dega.
To aapne Upwork ka pehla padaav paar karna seekh lia par ye to ek simple registration process seekha hai aage ke post me mai apko btaungi ki kaise Upwork par apni profile maintain ki jae aur kaise Upwork par apne service di jae.Agar koi point na samajh aya ho to uske baare me bhi mjhe jaankaari de Mai use clear karne ki poori koshish karungi.
Aapko ye post kaisa laga comment me jarur btae :-)
Very good description
ReplyDeleteThanks Mr. Alok.
DeleteVery helpful
DeleteSir Mai aap ka matter type karna cahata hun
ReplyDeleteek account agar galat create hua to dusra account bana sakte hai kya
ReplyDeleteVer good
ReplyDeleteWonderful par agaye ka bhi batai kyun k mujhe apk batane ka tarika bhut acha laga hai or apne bilkul easy se samjhaya hao tou asani horahi hai ka karne main, plz agaye ka step ager apne bataya hai tou link dal dein yahan par
ReplyDeleteThanku