Gmail un logo ke liye aik behtareen platform hai jo jyadatar information ka adaan-pradaan email ke jariye hi karte hai, agar baat ki jaaye kisi company ki toh wahan par information ek mahatvapurna bhumika rakhta hai, jis par company ki safalta aur asafalta dono hi nirbhar karti hai.
Safe Gmail |
Cyber crime jis raftaar se badh rahe hai us nazariye se gaur kiya jaye toh ab na keval kisi company ko balki har web user ko apne data ki security ka khayaal rakhna hi padega.
Crackers jo ki dusro ki personal information ko hack karne ki koshish me lage rehte hai is tarah ke cybercrime ko hum “Identity Theft” kehte hai.
Toh ab hum ye toh jaan gaye ki Internet par apnay data ko secure karna kitna important hai,
Encryption ek saral aur surakshit tarike hai jiska istemaal kar ke hum apne content ko protect kar sakte hai. Chaliye jaan lete hai ki Encryption ke baare mein.
Yeh bhi padhe: Kya Hai FREELANCING?
Encryption kya hai?
Encryption ek powerful tarika hai jiske istemaal se hum data ko secure kar sakte hai. Encryption apke plaintext (simple message) ko jumble words me convert kar deta hai jisse ki woh message kisi dusre ke jariye padhna namumkin ho jata hai aur us message ko sirf wahi padh sakta hai jiske paas us message ka password ho jise ki “KEY” kaha jata hai .
Key ke dwara hi message ko jumble words se dubara plaintext me badalne ke process ko decryption kehte hai.
Encryption aur decryption ki is prakriya ko CRYPTOGRAPHY kaha jata hai. Gmail se hum encryption karke apnay mails ko secure kar sakte hai chaliye jaante hai ki woh kaise kiya jaaye.
Yeh bhi padhe: Behatareen Computer Tricks
Yeh bhi padhe: Behatareen Computer Tricks
Gmail me Encryption:
Gmail ne haal hi mein ek naya option launch kiya hai jiska naam “SafeGmail” hai. Agar aap google chrome browser ka istemaal karte hai toh aap “SafeGmail” ka extension ko apnay browser me attach karke iska upyog kar sakte ha. Kaise iska istemaal kiya jaaye sikhate hai step-by-step.
#Step1:
Sabse pehle aapko Chrome ke web store par ja kar Secure Mail For Gmail par visit karna hai wahan par “Add To Chrome” ke option par click karke is extension ko apne browser ke saath jod le.
#Step 2:
Jab SafeGmail install ho jaye tab apne browser ko restart karke apne gmail par login ho jaye. Aap dekhenge jaha par compose ka option aata tha wahan par ek naya option aa gaya hai, yeh Encrypt Button ka option hai jiska icon ek Lock hai.
#Step 3:
Lock par click karne par ek nayi window open ho jayegi jisme ki secret message compose karne ko kaha jayega. Jaise ki aap pehle mail compose karte the usi tarah recipient ka email address, subject aur message ko fill kar de uske baad Send Encrypted par click kar de.
#Step 4:
Send Encrypted par click karne ke baad ek aur window aapke saamne aayegi jisme encryption password aur password hint ke liye kaha jaayega. Ye woh password hai jiska istemaal karke aap ka recipient us mail ko decrypt kar payega toh yeh password sirf aap aur jise aap mail send kar rahe dono ke beech mein rehna chahiye.
Password hint sirf islie hai taaki agar apka recipient password bhul raha ho toh us hint ko padh kar use password yaad aa jaye. Password hint optional hai. Aakhir mein Encrypt & Send par click kar de.
#Step 5:
Mail send hone ke baad jab recipient ke paas pahuchega toh agar unke paas Secure Mail For Gmail install nahi hai toh unse install karne ke liye kaha jaayega. Install karne ke baad jaise hi password ke help se mail khol jayega woh jumble words se convert ho kar normal text me aa jayega aur woh asani se us mail ko padh sakte hai.
Toh yeh tha ek muft aur asaan tarika apne mails ko secure karne ka agar aapko humara yeh post pasand aya ho toh ise share karke aur logo tak bhi pahuchaye aur aapke paas bhi koi aisa tarika ho apne data ko web par secure karne ka toh use bhi humse share kare, Uske liye comment box me apna tarika llikh sakte hai.